qafas pe barq gire aur chaman ko aag lage
ilāhī gardish-e-charḳh-e-kuhan ko aag lage
sulag rahī haiñ mire dil kī hasrateñ aise
bharī bahār meñ jaise chaman ko aag lage
har ek qatra-e-shabnam banā hai añgāra
ajab nahīñ jo gul-e-yāsman ko aag lage
na poñchh ashk mire dekh apne dāman se
ḳhudā kare na tire pairahan ko aag lage
qasam hai ham ko tirī chashm-e-mast kī saaqī
piyeñ sharāb to kām-o-dahan ko aag lage
nasīb hoñ na jahāñ tā.eroñ ko do tinke
ḳhudā kare ki ab aise chaman ko aag lage