Ashfaq Nasir

aks ko phul banane mein guzar jati hai

Ashfaq Nasir

aks ko phuul banāne meñ guzar jaatī hai
zindagī ā.ina-ḳhāne meñ guzar jaatī hai
shaam hotī hai to lagtā hai koī ruuTh gayā
aur shab us ko manāne meñ guzar jaatī hai
har mohabbat ke liye dil meñ alag ḳhāna hai
har mohabbat usī ḳhāne meñ guzar jaatī hai
zindagī bojh batātā thā batāne vaalā
ye to bas ek bahāne meñ guzar jaatī hai
tū batā aañkh nayā ḳhvāb kahāñ se dekhe
roz shab tujh ko bhulāne meñ guzar jaatī hai
vo chalā jaatā hai aur sā.at-e-ruḳhsat 'ashfāq'
jism kā bojh uThāne meñ guzar jaatī hai
Top Urdushayar.com