rañj jo dīda-e-namnāk meñ dekhā gayā hai
ye faqat sīna-e-sad-chāk meñ dekhā gayā hai
is se aage hai miyāñ muntziroñ kī bastī
ik diyā jaltā huā taaq meñ dekhā gayā hai
ai junūñ us kī kahānī bhī sunā.ūñgā tujhe
ye jo paivand mire chaak meñ dekhā gayā hai
ya.anī ik aañkh abhī DhūñDhtī phirtī hai mujhe
ya.anī ik tiir mirī taak meñ dekhā gayā hai
ek ḳhvāhish kā mire dil meñ utarnā 'ashfāq'
ik sharāra ḳhas-o-ḳhāshāk meñ dekhā gayā hai
hijr aur dasht meñ jo shaḳhs bhī Thahrā 'ashfāq'
tajraba uḌtī huī ḳhaak meñ dekhā gayā hai