rū-posh aañkh se koī ḳhushbū libās hai
go duur duur sā hai magar ās-pās hai
ye sun ke regzār ke hoñToñ pe pyaas hai
dariyā kī be-ruḳhī pe samundar udaas hai
shām-e-avadh ne zulf meñ gūñdhe nahīñ haiñ phuul
tere baġhair sub.h-e-banaras udaas hai
khātī vagarna Thokareñ chāhat kahāñ kahāñ
daatā mirā baḌā hī tamannā-shanās hai
rahbar banā huā hai jo saaya qadam qadam
partav tirā hī mere kahīñ ās-pās hai
yārab hamāre jazba-e-dīda-varī kī ḳhair
jo phuul hai chaman meñ vo shabnam libās hai