husn kī fitrat meñ dil-āzāriyāñ
us pe zālim nit na.ī tayyāriyāñ
sādgī meñ aa ga.iiñ dil-dāriyāñ
phuul uThīñ ik phuul meñ phul-vāriyāñ
muttasil tiflī se āġhāz-e-shabāb
ḳhvāb ke āġhosh meñ bedāriyāñ
chārasāzoñ kī vo qātil ġhaflateñ
dard-mandoñ kī vo ġhairat-dāriyāñ
bas hujūm-e-shauq ab is bhiiḌ meñ
khoī jaatī haiñ mirī ḳhud-dāriyāñ
soch kar un kī galī meñ jaa.e kaun
be-irāda hotī haiñ tayyāriyāñ
un kī āñkhoñ meñ bhī aañsū aa ga.e
chhoḌiye bhī ab ġharīb-āzāriyāñ
dard-e-dil aur jān-levā pursisheñ
ek bīmārī kī sau bīmāriyāñ
aur dīvāne ko dīvāna banāo
allāh allāh itnī ḳhātir-dāriyāñ
khīñch detī haiñ ḳhat-e-mauj-e-sharāb
mad-bharī āñkhoñ meñ rañgīñ dhāriyāñ
ishq aur zideñ ye rasm o raah kī
haa.e duniyā uf rī duniyā-dāriyāñ
bañdh rahā hai ai 'razā' raḳht-e-safar
ho rahī haiñ kuuch kī tayyāriyāñ