dīvāna kar ke mujh ko tamāshā kiyā bahut
terī talāsh ne mujhe rusvā kiyā bahut
kyā kahiye us ke rū-ba-rū aañsū nikal paḌe
ham ne to zabt-e-ġham kā irāda kiyā bahut
lekin hamārā dīda-e-bīnā bhī kam na thā
hālāñki us ne bazm meñ parda kiyā bahut
bosa jabīñ ko pā-e-sanam kā na mil sakā
laġhzish ne be-ḳhudī kā bahāna kiyā bahut
sūraj ne dhuul kirnoñ kī āñkhoñ meñ jhoñk dī
mat pūchh raushnī ne añdherā kiyā bahut
us kī had-e-kamāl ta.ayyun na kar sake
ahl-e-ḳhirad ne us kā ahāta kyā bahut