Raza Lakhnavi

wasta koi na rakh kar bhi sitam Dhate ho tum

Raza Lakhnavi

Unnao, Uttar pradesh, India

1896-1978
vāsta koī na rakh kar bhī sitam Dhāte ho tum
dil taḌap uThtā hai ab kaahe ko yaad aate ho tum
merī sab āzādiyāñ banda-navāzī par nisār
ai ḳhoshā qaid-e-vafā zanjīr pahnāte ho tum
laate ho kaif-e-tarb dete ho paiġhām-e-hayāt
kyā batā.ūñ saath kyā le kar chale jaate ho tum
is tarah chhupte ho jalvoñ kī farāvānī ke saath
maiñ samajhtā huuñ ki jaise sāmne aate ho tum
sun ke merā haal haiñ āñkheñ na malne ke vajūh
ye bhī ho saktā hai shāyad ashk bhar laate ho tum
bhej kar ḳhush-bū havāoñ meñ ba-andāz-e-payām
kyā ye sach hai aaj yuuñ merī taraf aate ho tum
dil-guzārī bhī liye hai imtiyāz-e-husn-o-ishq
ḳhuun ro detā huuñ maiñ aur ashk pī jaate ho tum
chāñd meñ rañgat tumhārī phuul bhī tum se base
khīñchtī haiñ dil fazā.eñ yaad aa jaate ho tum
tum se hai ārāsta jazbāt kā taaza chaman
jaisī rut hotī hai vaisā phuul ban jaate ho tum
zikr is kā hai 'razā' ne kiiñ vafā.eñ yā nahīñ
tum ne āḳhir kyā kiyā kaahe ko sharmāte ho tum
Top Urdushayar.com