Raza Lakhnavi

KHayal-e-husn mein yun zindagi tamam hui

Raza Lakhnavi

Unnao, Uttar pradesh, India

1896-1978
ḳhayāl-e-husn meñ yuuñ zindagī tamām huī
hasīn sub.h huī aur hasīn shaam huī
vaqār-e-ishq bas ab sar jhukā de qadmoñ par
udhar se tere liye sabqat-e-salām huī
har ek apnī jagah ḳhush har ik yahī samjhā
nigāh-e-ḳhās ba-tarz-e-nigāh-e-ām huī
nazar milī to tabassum rahā ḳhamoshī par
nazar phirī to zarā himmat-e-kalām huī
bas ab to tum ne mohabbat kā le liyā badla
muaaf karnā jo taklīf-e-intiqām huī
hai dekhne hī kā vaqfa jise samajhte haiñ
'razā' vo dhuup chaḌhī din Dhalā vo shaam huī
Top Urdushayar.com