Raza Lakhnavi

wo aansu jo hans hans ke humne piye hain

Raza Lakhnavi

Unnao, Uttar pradesh, India

1896-1978
vo aañsū jo hañs hañs ke ham ne piye haiñ
tumhāre diye the tumhāre liye haiñ
kareñ vo jo chāheñ kaheñ vo jo chāheñ
maiñ pāband-e-ulfat mire lab siye haiñ
tumhāre hī rahm o karam ke sahāre
na mālūm mar mar ke kyūñkar jiye haiñ
baḌī der tak jis se poñchhe the aañsū
vo dāman abhī haath hī meñ liye haiñ
use maiñ hī samjhūñ use maiñ hī jānūñ
sitam kar rahe haiñ karam bhī kiye haiñ
kahāñ pā-e-nāzuk kahāñ rāh-e-ulfat
mire saath do ik qadam ho liye haiñ
hañsātā hai sab ko hamārā fasāna
hamīñ kahte kahte kabhī ro liye haiñ
gul o baaġh o naġhma mah o mehr o anjum
jo tum ho mire sab ye mere liye haiñ
uThāte vo kyuuñ mil ke bār-e-mohabbat
ye kyā kam hai thoḌā sahārā diye haiñ
bhale haiñ bure haiñ kisī se ġharaz kyā
'razā' vo bahar-hāl mere liye haiñ
Top Urdushayar.com