agar chāhūñ jhaTak kar toḌ duuñ zanjīr-e-tanhā.ī
maiñ tinkā huuñ magar maujoñ se hai merī shanāsā.ī
sharīk-e-rāh thī jab tak hamārī ābla-pā.ī
na māthe par shikan ubhrī na paañv meñ thakan aa.ī
havā se sub.h-e-nā-āsūdgī achchhā kiyā tū ne
kitāb-e-zindagī ke kuchh varaq tū bhī uḌā laa.ī
hazāroñ marhale the fasl-e-gul se chāk-e-dāmāñ tak
ḳhizāñ guzrī to kab guzrī bahār aa.ī to kab aa.ī
'nasīm' ik din vo aa.egā ki mazlūmoñ ke qadmoñ meñ
panāheñ DhūñDhtī hogī sitam-rānoñ kī dārā.ī