Malika Naseem

wo mausam be-KHudi ke the jo mausam hum guzar aae

Malika Naseem

Allahabad, Uttar pradesh, India

1954
vo mausam be-ḳhudī ke the jo mausam ham guzār aa.e
ki jab chāhā tumhāre naam se ḳhud ko pukār aa.e
safar kī sab aziyyat muntazir āñkheñ agar le leñ
paroñ meñ tāqat-e-parvāz phir be-iḳhtiyār aa.e
maiñ tishna-lab zamīnoñ par kahāñ tak chashm-e-tar rakhtī
safar meñ zindagī ke har qadam par reg-zār aa.e
ġhamoñ ke dosh par jab qarya-e-jāñ kā safar Thahrā
charāġh ashkoñ ke rakhe ḳhvāb palkoñ se utaar aa.e
mire ḳhvāboñ ke saare rañg jis kī muTThiyoñ meñ haiñ
na jaane ab vo kyā chāhe yahāñ kyuuñ baar baar aa.e
badalte mausamoñ ko ḳhuuñ se rañgīñ pairahan de kar
chalo ham dast-e-qātil kā har ik ehsāñ utaar aa.e
vafā ke tishnagī ke aur kuchh ma.asūm va.adoñ ke
ye saare qarz dekho ham lab-e-dariyā utaar aa.e
Top Urdushayar.com