Malika Naseem

hawa ke dosh pe kis ke payam aate hain

Malika Naseem

Allahabad, Uttar pradesh, India

1954
havā ke dosh pe kis ke payām aate haiñ
hamāre ghar ke dar-o-bām mahke jaate haiñ
maiñ sūkhī Daal huuñ lekin tumhārī yādoñ ke
parinde aa ke sar-e-shām baiTh jaate haiñ
hamārī āñkhoñ meñ yuuñ intizār raushan hai
nadī meñ jaise ka.ī diip jhilmilāte haiñ
chalī haiñ daur-e-taraqqī kī āñdhiyāñ kyā kyā
sharāfatoñ ke dar-o-bām TuuTe jaate haiñ
dhuñdlakā shaam kā chhāne lagā hai sochtī huuñ
ki is samay to parinde bhī lauT aate haiñ
ye zindagī vo kaḌī dhuup hai 'nasīm' yahāñ
na jaane kitne hare peḌ suukh jaate haiñ
Top Urdushayar.com