ye zaḳhm zaḳhm badan aur nam fazāoñ meñ
bhaTak rahā huuñ liye iztirāb paañv meñ
ye be-lihāz nigāheñ ye ajnabī chehre
panap rahā hai koī shahr jaise gaañv meñ
bachā ke maut se insān ḳhud ko rakh letā
jo ghuñghrū hote kahīñ hādsoñ ke paañv meñ
ye ek roz hamārā vajūd Das legā
ugal rahe haiñ jo ye zahr ham havāoñ meñ
har ek pal mare ham phir bhī zindagī chāhī
ġhazab kashish rahī kam-baḳht kī adāoñ meñ
vo ghar banā ke bahāroñ kā lutf lete haiñ
jo tinkā tinkā jama.a karte haiñ ḳhizāoñ meñ