Malika Naseem

KHushbuon ka har taraf ambar hai

Malika Naseem

Allahabad, Uttar pradesh, India

1954
ḳhushbuoñ kā har taraf ambār hai
koī to hai jo pas-e-dīvār hai
chhāñv meñ kaise Thahartī ek pal
dhuup bhī to sāhab-e-kirdār hai
hai safar ḳhushiyoñ kā lekin zindagī
sar pe ik laTkī huī talvār hai
kaun kis kī ab masīhā.ī kare
zehn hī is ahd kā bīmār hai
qad baḌhā deñ jis kā jhūTī shohrateñ
aaj vo sab se baḌā fankār hai
ġham mile haiñ jab se ham ko aap ke
ham haiñ aur ḳhushiyoñ kā kārobār hai
Top Urdushayar.com