Urfi Aafaqi

wo dhyan ki rahon mein jahan hum ko milega

Urfi Aafaqi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1936
vo dhyān kī rāhoñ meñ jahāñ ham ko milegā
bas ek chhalāve sā koī dam ko milegā
anjānī zamīnoñ se mujhe degā sadā vo
nairañg-e-navā-shauq kī sargam ko milegā
maiñ ajnabī ho jā.ūñgā ḳhud apnī nazar meñ
jis dam vo mire dīda-e-pur-nam ko milegā
jo naqsh ki arzhañg-e-zamāna meñ nahīñ hai
us dil ke dhaḌakte hue albam ko milegā
rut vasl kī aa.egī chalī jā.egī lekin
kuchh rañg to yuuñ hijr ke mausam ko milegā
ye dil ki hai Thukrāyā huā saare jahāñ kā
ghar ek yahī hai jo tire ġham ko milegā
patthar hai to Thokar meñ rahe pā-e-talab kī
dil hai to usī turra-e-pur-ḳham ko milegā
gar shīsha-e-mai hai to ho auroñ ko mubārak
hai jām-e-jahāñ-bīñ to faqat jam ko milegā
lahrāte raheñge chamanistāñ meñ sharāre
ḳhaar o ḳhas o ḳhāshāk hī aalam ko milegā
mālūm hai 'urfī' jo hai qismat meñ hamārī
sahrā hī koī girya-e-shabnam ko milegā
Top Urdushayar.com