Urfi Aafaqi

saba se aati hai kuchh bu-e-ashna mujhko

Urfi Aafaqi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1936
sabā se aatī hai kuchh bu-e-āshnā mujh ko
bulā rahā hai mire ḳhuuñ kā zā.iqa mujh ko
hanūz safha-e-hastī pe huuñ maiñ harf-e-ġhalat
koī hanūz hai likh likh ke kāTtā mujh ko
hazār chehra tilism-e-gurez-pā huuñ maiñ
asiir kar na sakā koī aa.inā mujh ko
chalā hī jā.ūñ maiñ parchhā.iyoñ ke des ko aur
pukārtā rahe kirnoñ kā qāfila mujh ko
yahī haiñ rat-jage jab se khulīñ mirī āñkheñ
na thā vo ḳhvāb mirā ik azaab thā mujh ko
chalā thā maiñ to samundar kī tishnagī le kar
milā ye kaisā sarāboñ kā silsila mujh ko
ye baat kis se kahūñ aah ik gul-e-ḳhūbī
baḌe hī pyaar se kāñTā chubho gayā mujh ko
Top Urdushayar.com