basta-lab thā vo magar saare badan se boltā thā
bhed gahre pāniyoñ ke chupke chupke kholtā thā
thā ajab kuchh sehr-sāmāñ ye bhī achraj ham ne dekhā
chhantā thā ḳhāk-e-sahrā aur motī roltā thā
rach rahā thā dhīre dhīre mujh meñ nashsha tīrgī kā
kaun thā jo mere paimāne meñ rāteñ gholtā thā
Dar ke maare log the dubke hue apne gharoñ meñ
ek bādal sā dhueñ kā bastī bastī Doltā thā
kaañp kaañp uThtā thā merā maiñ hī ḳhud mere muqābil
maiñ nahīñ to phir vo kis par kaun ḳhanjar taultā thā