zaḳhm gahre the bhalā kaise mudāvā karte
kuchh na hotā jo agar ḳhud kā tamāshā karte
jhuuT hī hotā magar ḳhvāb to hotā koī
vo hamārā hai sar-e-rāh dikhāvā karte
baat be-bāt vo rakkhe to bharam chāhat kā
ham bhī ḳhāmosh koī tark-e-tamannā karte
merī in āñkhoñ meñ jugnū se chamakte haiñ ka.ī
ḳhvāb aate haiñ mirā niiñd meñ pīchhā karte
ham se tā-umr lipaT jaa.e to ārām mile
ham bhī har vaqt use pyaar se dekhā karte
sher kahte haiñ to jiine kā shu.ūr aatā hai
gar na kahte to bhalā kaise guzārā karte