Satyadhar Satya

zamin ki baat hai dil mein magar ambar nikalta hai

Satyadhar Satya

Hardoi, Uttar pradesh, India

1989
zamīñ kī baat hai dil meñ magar ambar nikaltā hai
sabhī dariyā ke dil meñ āj-kal sāgar nikaltā hai
zabāñ par tyaag kī bāteñ magar paise ke lobhī haiñ
hamārī jeb se kāġhaz qalam aksar nikaltā hai
hamesha dil meñ rahtī hai zamāne bhar kī kaḌvāhaT
magar jab ghar se chaltā hai sadā hañs kar nikaltā hai
yahāñ par aañkh kā dekhā hamesha sach nahīñ hotā
jise patthar samajhte haiñ vo paiġhambar nikaltā hai
koī ġhalatī na kī ham ne magar har vaqt jaane kyoñ
hamāre vāste har haath meñ patthar nikaltā hai
Top Urdushayar.com