paañv se lipaTtī hai kis ke ḳhvāb kī duniyā
kyoñ mujhe bulātī hai phir gulāb kī duniyā
apnī ḳhush-nasībī haiñ ḳhud ko rok rakkhe haiñ
varna khīñch letī hai ye sharāb kī duniyā
kho diyā hai kyā ham ne aur kyā milā ham ko
kyoñ hisāb meñ rakkheñ be-hisāb kī duniyā
jo paḌhā likhā ham ne vo nazar nahīñ aayā
kitnī be-muravvat hai ye kitāb kī duniyā
raat to añdhere meñ be-libās rahtī hai
par sukūn detī hai ye naqāb kī duniyā