mere andar sirf maiñ thā dūsrā koī na thā
shor itnā tez thā par boltā koī na thā
aañkh roī haiñ bahut duniyā kī hālat dekh kar
yuuñ to logoñ se hamārā vāsta koī na thā
aisī duniyā meñ mujhe ik umr tak rahnā paḌā
aañkh thī sab kī vahāñ par dekhtā koī na thā
pustakoñ meñ umr guzrī baal bhī chāñdī hue
mere ḳhātir dil kā darvāza khulā koī na thā
ek arse baad jab aanā huā ghar kī taraf
sirf tanhā.ī thī 'satya' aur bachā koī na thā