Shafqat Kazmi

hamare haal pe kis din jafa nahin karte

Shafqat Kazmi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1914-1975
hamāre haal pe kis din jafā nahīñ karte
ye aur baat ki vo barmalā nahīñ karte
ye rañg-o-nūr kī duniyā nazar-navāz sahī
tire faqīr magar e'tinā nahīñ karte
zarūr koī ḳhatā ham se ho ga.ī hogī
vo be-sabab to kisī par jafā nahīñ karte
kabhī to un ko hamārā ḳhayāl aa.egā
ham is ummīd pe tark-e-vafā nahīñ karte
unhīñ se ham ko mohabbat kī daad hai matlūb
vahī jo pās-e-mohabbat zarā nahīñ karte
dar-e-habīb pe jaate haiñ bārhā 'shafqat'
dar-e-habīb pe lekin sadā nahīñ karte
Top Urdushayar.com