tere har jaur pe yaañ shukr-e-ḳhudā hai ai dost
ki yahī maslak-e-arbāb-e-vafā hai ai dost
ham ko is ahd-e-vafā se thiiñ umīdeñ kitnī
tujh ko jo ahd-e-vafā bhuul chukā hai ai dost
terī jānib se na laa.ī koī paiġhām kabhī
merī fariyād bhī sahrā kī sadā hai ai dost
tere aane kī dobāra jo koī aas nahīñ
kitnī sunsān mire dil kī fazā hai ai dost
terī yādoñ se bhī taskīn-e-tamannā na huī
vaqt ham par kabhī aisā bhī paḌā hai ai dost
kyā ajab hai ki tirī ranjish-e-bejā ke sabab
tere 'shafqat' ko sar-e-tark-e-vafā hai ai dost