baḳhshī hai kaif-e-ishq ne vo be-ḳhudī mujhe
maiñ zindagī ko bhuul gayā zindagī mujhe
daur-e-falak pe jab kabhī aa.ī hañsī mujhe
ālām-e-rozgār ne āvāz dī mujhe
tere ḳhayāl se hai vo dil-bastagī mujhe
hasrat hī ab nahīñ tire dīdār kī mujhe
ai marg-e-ishq terī navāzish kā shukriya
duniyā kī talḳhiyoñ se farāġhat milī mujhe
har shai se be-niyāz hai merā dil-e-hazīñ
tum kyā mile ki mil ga.e kaunain bhī mujhe
kal tak jo teġh tishna-e-ḳhūn-e-adū rahī
aaj us kī pyaas ḳhud hī bujhānī paḌī mujhe
faizān-e-vārsī se 'azīz'-e-jahāñ huuñ maiñ
sab kuchh hai ek silsila-e-vārsī mujhe