Aziz Warsi

main agar surat-e-parwana fida ho jata

Aziz Warsi

1921-1989
maiñ agar sūrat-e-parvāna fidā ho jaatā
un ko andāza-e-ā.īn-e-vafā ho jaatā
apnī qudrat se liyā kaam ilāhī tū ne
varna is daur kā har shaḳhs ḳhudā ho jaatā
ham ne taqdīr ke mafhūm ko samjhā varna
ham ko bhī shikva-e-arbāb-e-jafā ho jaatā
tum agar dekhne vaale ko nazar aa jaate
hashr se pahle hī ik hashr bapā ho jaatā
apne gulshan ko vo dozaḳh na samajhtā shāyad
yak gosha bhī jo firdaus-numā ho jaatā
tū ne pahchān liyā ishq kī qadroñ kā mizāj
ye na pūchh aaj tirī bazm meñ kyā ho jaatā
apnī ġhairat se bachā.e rahā apne ko 'azīz'
varna ahbāb ke hāthoñ hī fanā ho jaatā
Top Urdushayar.com