mire farzāna banñe kā bahut imkān baaqī hai
abhī jaib-o-garebāñ kī mujhe pahchān baaqī hai
mire siine meñ tere tiir kā paikān baaqī hai
ba-alfāz-e-digar rūdād kā unvān baaqī hai
baqā-e-jāvedāñ baḳhshī hai jis ko terī nazroñ ne
mire dil meñ abhī aisā bhī ik armān baaqī hai
sarisht-e-husn kā tabdīl honā ġhair-mumkin hai
sarisht-e-ishq meñ jis vaqt tak armān baaqī hai
'azīz-vārsī' us kī haqīqat kis tarah samjhe
abhī to zaat kā apnī hī kuchh irfān baaqī hai