Aziz Warsi

manus fitratan hain gham-e-ashiqi se hum

Aziz Warsi

1921-1989
mānūs fitratan haiñ ġham-e-āshiqī se ham
phir kyuuñ na tere naaz uThā.eñ ḳhushī se ham
jab se yaqīñ huā hai vahī kārsāz haiñ
ab apnā haal kahte nahīñ har kisī se ham
ḳhāmosh zindagī bhī dalīl-e-bahār hai
ye dars le rahe haiñ chaman meñ kalī se ham
ye aur baat hai ki hameñ kuchh gila bhī hai
munkir nahīñ magar tirī dariyā-dilī se ham
dil-soz-o-dil-ḳharāsh hai ye jāda-e-hayāt
lekin guzar rahe haiñ baḌī sādgī se ham
ye fikr ye ḳhayāl 'azīz' aap kā na ho
kuchh sher sun rahe the abhī 'vārsī' se ham
Top Urdushayar.com