har aañkh meñ mastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
aur aap kī bastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
har shai se kināra bhī aur anjuman-ārā bhī
kyā aap kī hastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
but-ḳhāne meñ din kaaTā maiḳhāne meñ shab guzrī
nasha hai na mastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
ye daur sanam-parvar har shaḳhs yahāñ aazar
sahrā hai na bastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
vo mahfil-e-rindāñ ho yā bazm-e-suḳhan-dāñ ho
ahbāb-parastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
zāhid kī subuk-fitrat rindoñ pe hamesha se
āvāz hī kastī kahiye bhī to kyā kahiye
ahbāb kī āñkhoñ meñ jo uns kī nāgin hai
ahbāb ko Dastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
ik jins-e-kudūrat thī jo pahle hī sastī thī
ab aur bhī sastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
duniyā se 'azīz' us ko hotī hai mohabbat bhī
duniyā jise Dastī hai kahiye bhī to kyā kahiye