Aziz Warsi

mera diwana-pan farzangi se kam nahin hota

Aziz Warsi

1921-1989
mirā dīvāna-pan farzāngī se kam nahīñ hotā
ki maiñ rotā huuñ pahroñ aur dāman nam nahīñ hotā
tirā ġham sahne vaale par zamāna muskurātā hai
magar har shaḳhs kī qismat meñ terā ġham nahīñ hotā
mah-o-ḳhurshīd kī tābindagī kam hotī rahtī hai
magar dāġh-e-tamannā kā ujālā kam nahīñ hotā
abhī ai josh-e-girya tū ne ye sochā nahīñ shāyad
mohabbat kā chaman minnat-e-kash-e-shabnam nahīñ hotā
qayāmat tak rahe saaqī salāmat terā mai-ḳhāna
pilā.ī hai kuchh aisī kaif jis kā kam nahīñ hotā
vaqār-e-ishq par us daur se bhī harf aatā hai
'azīz-vārsī' vo dard jo paiham nahīñ hotā
Top Urdushayar.com