āḳhir-e-shab vo terī añgḌā.ī
kahkashāñ bhī falak pe sharmā.ī
aap ne jab tavajjoh farmā.ī
gulshan-e-zīst meñ bahār aa.ī
dāstāñ jab bhī apnī dohrā.ī
ġham ne kī hai baḌī pazīrā.ī
sajda-rezī ko kaise tark karūñ
hai yahī vaj.h-e-izzat-afzā.ī
tum ne apnā niyāz-mand kahā
aaj merī murād bar aa.ī
aap farmā.iye kahāñ jā.ūñ
aap ke dar se hai shanāsā.ī
us kī taqdīr meñ hai vasl kī shab
jis ne bardāsht kī hai tanhā.ī
raat pahlū meñ aap the be-shak
raat mujh ko bhī ḳhuub niind aa.ī
maiñ huuñ yuuñ ism-ba-musammā 'azīz'
vāris-e-pāk kā huuñ shaidā.ī