Aziz Warsi

yurish-e-alam hai lekin mera dil ek hai

Aziz Warsi

1921-1989
yūrish-e-ālām hai lekin mirā dil ek hai
saiñkaḌoñ maujoñ kī zad meñ aaj sāhil ek hai
yuuñ to haiñ lākhoñ hasīñ ulfat ke qābil ek hai
chār-jānib haiñ shuā.eñ māh-e-kāmil ek hai
āh-e-sozāñ nāla-e-shab-gīr yā zabt-o-sukūñ
bad-nasīboñ ke liye in sab kā hāsil ek hai
qais ho farhād ho vāmiq ho yā mahmūd ho
haiñ nigāheñ muḳhtalif lailā-e-mahmil ek hai
dāman-e-har-mauj hī apnā to sāhil hai 'azīz'
kaun kahtā hai ki bahr-e-ġham meñ sāhil ek hai
Top Urdushayar.com