yahāñ se ab kahīñ le chal ḳhayāl-e-yār mujhe
chaman meñ raas na aa.egī ye bahār mujhe
tirī latīf nigāhoñ kī ḳhaas jumbish ne
banā diyā tirī fitrat kā rāzdār mujhe
mirī hayāt kā anjām aur kuchh hotā
jo aap kahte kabhī apnā jāñ-nisār mujhe
badal diyā hai nigāhoñ se ruḳh zamāne kā
kabhī rahā hai zamāne pe iḳhtiyār mujhe
maiñ jab chalā huuñ ba-īñ zauq-e-bandagī ai dost
qadam qadam pe mile āstāñ hazār mujhe
ye hādsāt jo haiñ iztirāb kā paiġhām
ye hādsāt hī ā.eñge sāzgār mujhe
'azīz' ahl-e-chaman kī shikāyateñ be-sūd
fareb de ga.ī rañgīnī-e-bahār mujhe