Aziz Warsi

na latif sham ki justuju na hasin sahar ki talash hai

Aziz Warsi

1921-1989
na latīf shaam kī justujū na hasīñ sahar kī talāsh hai
jo nazar nazar ko navāz de mujhe us nazar kī talāsh hai
mire ham-safar tujhe kyā ḳhabar ye nazar nazar kī talāsh hai
mirī rāhbar ko hai justujū tujhe rāhbar kī talāsh hai
jo ajal ko jaane hayāt-e-nau jo hayāt-e-nau ko ajal kahe
mujhe rah-guzār-e-hayāt meñ usī ham-safar kī talāsh hai
na ho farq dair-o-haram jahāñ na ho apnā apnā sanam jahāñ
usī rahguzar kī talāsh thī usī rahguzar kī talāsh hai
jo bas ek pahlī nigāh meñ mire dil kā raaz samajh sake
mujhe ibtidā-e-hayāt se isī dīda-var kī talāsh hai
mire zauq-e-dard kā hausla sar-e-bazm kahtā hai barmalā
vo 'azīz' kaif se duur hai jise chāragar kī talāsh hai
Top Urdushayar.com