tirī mahfil meñ farq-e-kufr-o-īmāñ kaun dekhegā
fasāna hī nahīñ koī to unvāñ kaun dekhegā
yahāñ to ek lailā ke na jaane kitne majnūñ haiñ
yahāñ apnā garebāñ apnā dāmāñ kaun dekhegā
bahut nikle haiñ lekin phir bhī kuchh armān haiñ dil meñ
ba-juz tere mirā ye soz-e-pinhāñ kaun dekhegā
agar parde kī jumbish se laraztā hai to phir ai dil
tajalli-e-jamāl-e-rū-e-jānāñ kaun dekhegā
agar ham se ḳhafā honā hai to ho jā.iye hazrat
hamāre ba.ad phir andāz-e-yazdāñ kaun dekhegā
mujhe pī kar bahakne meñ bahut hī lutf aatā hai
na tum dekhoge to phir mujh ko farhāñ kaun dekhegā
jise kahtā hai ik aalam 'azīz'-e-vāris-e-ālam
use aalam meñ hairān-o-pareshāñ kaun dekhegā