Aziz Warsi

un se karam ki rakh ummid unki ata se pyar kar

Aziz Warsi

1921-1989
un se karam kī rakh ummīd un kī atā se pyaar kar
ai dil-e-mubtalā-e-ġham ġham ko bhī ḳhush-gavār kar
husn-e-yaqīn-e-āshiqī itnā tū pā.edār kar
ḳhud par bhī e'timād rakh un par bhī e'tibār kar
dil meñ jo mere zaḳhm meñ un kā na ab shumār kar
sīna-e-dāġh-dār ko aur bhī dāġh-dār kar
shorish-e-āgahī ke saath husn-e-shu.ūr shart hai
zauq-e-junūñ-navāz ab aur na sharmsār kar
tujh se hanūz hai nihāñ fikr kā ik nayā jahāñ
azm-o-amal se ziist ke husn ko āshkār kar
hāsil-e-kā.enāt the bas vahī zindagī ke din
ham terī bārgāh meñ aa.e haiñ jo guzār kar
sīna-e-tīrgī se hī phūTegī ek mauj-e-nūr
muntazir hayāt-e-nau sub.h kā intizār kar
dard-e-hayāt dard-e-dil dard-e-firāq dard-e-ġham
ye haiñ matā-e-lā-zavāl in se 'azīz' pyaar kar
Top Urdushayar.com