Aziz Warsi

yun to hai dahr mein har dard ka har gham ka ilaj

Aziz Warsi

1921-1989
yuuñ to hai dahr meñ har dard kā har ġham kā ilaaj
kaash ho jaa.e mirī kāhish-e-paiham kā ilaaj
aman-e-sāhil hai jo tuġhyānī-e-barham kā ilaaj
phir to mushkil nahīñ insāñ ke kisī ġham kā ilaaj
zindagī chhīnñe vaale tirī qudrat kī qasam
tere hāthoñ meñ thā bīmār shab-e-ġham kā ilaaj
haañ vahī phuul jo shabnam kī badaulat mahke
un se bhī ho na sakā girya-e-shabnam kā ilaaj
jab satāyā ġham-e-daurāñ ne to itnī pī lī
ek aalam se kyā dūsre aalam kā ilaaj
piine vaalo abhī kuchh der mere saath raho
aap kar sakte haiñ kuchh dīda-e-pur-nam kā ilaaj
ab to ehsās mujhe bhī yahī hotā hai 'azīz'
mere ash.ār meñ muzmar hai mire ġham kā ilaaj
Top Urdushayar.com