jalva-e-dost kisī vaqt bhī rū-posh nahīñ
haa.e mahrūmī-e-qismat ki hameñ hosh nahīñ
aap ehsān ke andāz to sīkheñ pahle
fitrat-e-ishq bhī ehsān-farāmosh nahīñ
sirf vo log hī dīvāna samajhte haiñ mujhe
aaj is daur meñ apnā bhī jinheñ hosh nahīñ
vo mirī bāda-parastī ko abhī kyā jaane
jo mirī tarah abhī mai-kada-bar-dosh nahīñ
jaam uThātā huuñ tire hukm se mahfil meñ mudām
maiñ balā-nosh nahīñ huuñ maiñ balā-nosh nahīñ
sāqī-e-bazm tirī mast-nigāhoñ kā asar
dil pe kis vaqt huā thā ye mujhe hosh nahīñ
vo bhī kahte haiñ mujhe maiñ jinheñ kahtā huuñ 'azīz'
hosh ab un ko nahīñ hai ki mujhe hosh nahīñ