Aziz Warsi

use kyun sahar se nashat ho use kya malal ho sham se

Aziz Warsi

1921-1989
use kyuuñ sahar se nashāt ho use kyā malāl ho shaam se
jise ishq hai tire zikr se jise uns hai tire naam se
vo tumhāre taur-o-tarīq the ki hazār rañg badal liye
ye hamāre dil kā shu.ūr hai na haTe ham apne maqām se
mirī aarzū ke charāġh par koī tabsira bhī kare to kyā
kabhī jal uThā sar-e-shām se kabhī bujh gayā sar-e-shām se
jo hayāt-e-ishq sañvar ga.ī to hayāt-e-husn nikhar ga.ī
kabhī tere husn-e-ḳhirām se kabhī mere soz-e-davām se
jo 'azīz-vārsī' thā kabhī vo 'azīz-vārsī' ab nahīñ
na junūn-e-ishq-e-butāñ hai ab na ġharaz hai bāda-o-jām se
Top Urdushayar.com