Aziz Warsi

kuchh rup-nagar ka zikr karo kuchh rang-mahal ki baat karo

Aziz Warsi

1921-1989
kuchh rūp-nagar kā zikr karo kuchh rañg-mahal kī baat karo
rañgīn fazā hai mahfil kī rañgīn ġhazal kī baat karo
rindoñ ko na ab Tāloñ kal par rindoñ se na kal kī baat karo
tum aaj hamāre saaqī ho tum aaj na halkī baat karo
hai sub.h-e-banaras ruup us kā to shām-e-avadh gesū us ke
vo merī ġhazal hai merī ġhazal tum merī ġhazal kī baat karo
taqrīr kī lazzat be-ma.anī tahrīr kī nudrat lā-hāsil
ye fikr-o-amal kī hai duniyā kuchh fikr-o-amal kī baat karo
baiThe ho 'azīz' apne aise ahbāb kī rañgīñ mahfil meñ
tauba ke tasavvur se pahle īmāñ ke ḳhalal kī baat karo
Top Urdushayar.com