Aziz Warsi

sozish-e-gham ke siwa kahish-e-furqat ke siwa

Aziz Warsi

1921-1989
sozish-e-ġham ke sivā kāhish-e-furqat ke sivā
ishq meñ kuchh bhī nahīñ dard kī lazzat ke sivā
dil meñ ab kuchh bhī nahīñ un kī mohabbat ke sivā
sab fasāne haiñ haqīqat meñ haqīqat ke sivā
kaun kah saktā hai ye ahl-e-tarīqat ke sivā
saare jhagḌe haiñ jahāñ meñ tirī nisbat ke sivā
kitne chehroñ ne mujhe dāvat-e-jalva baḳhshī
koī sūrat na milī aap kī sūrat ke sivā
ġham-e-uqbā ġham-e-daurāñ ġham-e-hastī kī qasam
aur bhī ġham haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā
bazm-e-jānāñ meñ are zauq-e-farāvāñ ab tak
kuchh bhī hāsil na huā dīda-e-hairat ke sivā
vo shab-e-hijr vo tārīk fazā vo vahshat
koī ġham-ḳhvār na thā dard kī shiddat ke sivā
mohtasib aao chaleñ aaj to mai-ḳhāne meñ
ek jannat hai vahāñ aap kī jannat ke sivā
jo tahī-dast bhī hai aur tahī-dāman bhī
vo kahāñ jā.egā tere dar-e-daulat ke sivā
jis ne qudrat ke har iqdām se Takkar lī hai
vo pashīmāñ na huā jabr-e-mashiyyat ke sivā
mujh se ye pūchh rahe haiñ mire ahbāb 'azīz'
kyā milā shahr-e-suḳhan meñ tumheñ shohrat ke sivā
Top Urdushayar.com