Aziz Warsi

KHushi mahsus karta hun na gham mahsus karta hun

Aziz Warsi

1921-1989
ḳhushī mahsūs kartā huuñ na ġham mahsūs kartā huuñ
bahr-ālam tumhārā hī karam mahsūs kartā huuñ
alam apnā to duniyā meñ sabhī mahsūs karte haiñ
magar maiñ huuñ ki duniyā kā alam mahsūs kartā huuñ
bas itnī baat par momin mujhe kāfir samajhte haiñ
dar-e-jānāñ ko mehrāb-e-haram mahsūs kartā huuñ
abhī saaqī kā faiz-e-ām shāyad nā-mukammal hai
abhī kuchh imtiyāz-e-besh-o-kam mahsūs kartā huuñ
haram vāloñ ko ahl-e-but-kada kuchh bhī samajhte hoñ
magar maiñ but-kade ko bhī haram mahsūs kartā huuñ
mirī taqdīr se pahle sañvarnā jin kā mushkil hai
tirī zulfoñ meñ kuchh aise bhī ḳham mahsūs kartā huuñ
'azīz'-e-vārsī ye bhī kisī kā mujh pe ehsāñ hai
ki har mahfil meñ ab apnā bharam mahsūs kartā huuñ
Top Urdushayar.com