itne nazdīk se ā.īne ko dekhā na karo
ruḳh-e-zebā kī latāfat ko baḌhāyā na karo
dard o āzār kā tum mere mudāvā na karo
rahne do apnī masīhā.ī kā daavā na karo
husn ke sāmne iz.hār-e-tamannā na karo
ishq ik raaz hai is raaz ko ifshā na karo
apnī mahfil meñ mujhe ġhaur se dekhā na karo
maiñ tamāshā huuñ magar tum to tamāshā na karo
saarī duniyā tumheñ kah degī tumhīñ ho qātil
dekho mujh ko ġhalat andāz se dekhā na karo
kaise mumkin hai ki ham donoñ bichhaḌ jā.eñge
itnī gahrā.ī se har baat ko sochā na karo
tum pe ilzām na aa jaa.e safar meñ koī
rāsta kitnā hī dushvār ho Thahrā na karo
vo koī shāḳh ho mizrāb ho yā dil ho 'azīz'
TūTne vaalī kisī shai kā bharosā na karo