Aziz Warsi

usne mere marne ke liye aaj dua ki

Aziz Warsi

1921-1989
us ne mire marne ke liye aaj duā kī
yā rab kahīñ niyyat na badal jaa.e qazā kī
āñkhoñ meñ hai jaadū tirī zulfoñ meñ hai ḳhushbū
ab mujh ko zarūrat na davā kī na duā kī
ik murshid-e-bar-haq se hai derīna ta.alluq
parvāh nahīñ mujh ko sazā kī na jazā kī
donoñ hī barābar haiñ rah-e-ishq-o-vafā meñ
jab tum ne vafā kī hai to ham ne bhī vafā kī
ġhairoñ ko ye shikva hai ki piitā hai shab-o-roz
mai-ḳhāne kā muḳhtār to ab tak nahīñ shākī
ye bhī hai yaqīñ mujh ko sazā vo nahīñ deñge
ye aur bhī hai taslīm ki haañ maiñ ne ḳhatā kī
is daur ke insāñ ko ḳhudā bhuul gayā hai
tum par to 'azīz' aaj bhī rahmat hai ḳhudā kī
Top Urdushayar.com