Aziz Warsi

ye hum par lutf kaisa ye karam kya

Aziz Warsi

1921-1989
ye ham par lutf kaisā ye karam kyā
badal Daale haiñ andāz-e-sitam kyā
zamāna hech hai apnī nazar meñ
zamāne kī ḳhushī kyā aur ġham kyā
jab us mahfil ko ham kahte haiñ apnā
phir us mahfil meñ fikr-e-besh-o-kam kyā
nazar aatī hai duniyā ḳhūb-sūrat
mire sāġhar ke aage jām-o-jam kyā
jabīñ hai be-niyāz-e-kufr-o-īmāñ
dar-e-but-ḳhāna kyā sehn-e-haram kyā
tirī chashm-e-karam ho jis kī jānib
use phir imtiyāz-e-besh-o-kam kyā
mire māh-e-munavvar tere aage
charāġh-e-dair kyā sham-e-haram kyā
nigāh-e-nāz ke do shobade haiñ
'azīz' apnā vajūd apnā adam kyā
Top Urdushayar.com