ik ham ki un ke vāste mahv-e-fuġhāñ rahe
ik vo ki dast-e-shauq se dāman-kashāñ rahe
dil meñ yahī ḳhalish rahe soz-e-nihāñ rahe
lekin mazāq-e-ishq-o-mohabbat javāñ rahe
ik vaqt thā ki dil ko sukūñ kī talāsh thī
aur ab ye aarzū hai ki dard-e-nihāñ rahe
ahl-e-vafā par aa.iiñ hazāroñ musībateñ
ye sab rahīn-e-gardish-e-haft-āsmāñ rahe
un kā shabāb har gul-e-nauras se phaT paḌā
chhupne ke bāvajūd vo har sū ayaañ rahe
ham ne hazār tarah kiyā un ko mutma.in
har baat par vo ham se magar bad-gumāñ rahe
allāh re talḳh-kāmi-e-ulfat kī intihā
mujh se mire 'azīz' bhī dāman-kashāñ rahe