Aziz Warsi

sina-e-shair gham se bhara hai aankh magar namnak nahin hai

Aziz Warsi

1921-1989
sīna-e-shā.ir ġham se bharā hai aañkh magar namnāk nahīñ hai
roz-e-azal se hai dīvāna dāman lekin chaak nahīñ hai
hijr ke ġham meñ rone vaale terā alam duniyā kī nazar meñ
kal bhī ibrat-nāk nahīñ thā aaj bhī ibrat-nāk nahīñ hai
shikva-ba-lab vo riñd haiñ saaqī aaj bhī tere maiḳhāne meñ
tishna-dahan baiThe haiñ lekin arz-e-talab bebāk nahīñ hai
shā.ir kī āvāra tabī.at asl meñ hai taz.īn-e-mohabbat
nāseh mushfiq tum sab kuchh ho sirf yahī idrāk nahīñ hai
tū hī batā ham aise insāñ terī galī meñ kyuuñ aate haiñ
terī adā.eñ shoḳh nahīñ haiñ terī nazar bebāk nahīñ hai
maiñ hī kyā kuchh aur yagāne merī tarah haiñ tere divāne
parvānoñ kī ḳhaak meñ shāmil lekin merī ḳhaak nahīñ hai
tum ne 'azīz' us kī mahfil meñ shab na sahī lamhe tū guzāre
mustaqbil kī fikr to kyuuñ ho haal bhī hasrat-nāk nahīñ hai
Top Urdushayar.com