dil meñ hamāre ab koī armāñ nahīñ rahā
vo ehtimām-e-gardish-e-daurāñ nahīñ rahā
pesh-e-nazar vo ḳhusrav-e-ḳhūbāñ nahīñ rahā
merī hayāt-e-shauq kā sāmāñ nahīñ rahā
samjhā rahā huuñ yuuñ dil-e-muztar ko hijr meñ
vo kaun hai jo ġham se pareshāñ nahīñ rahā
dekhā hai maiñ ne gesū-e-kāfir kā mojaza
tār-e-nafas bhī merā musalmāñ nahīñ rahā
ashkoñ ke saath saath kuchh armāñ nikal ga.e
bechainiyoñ kā dil meñ vo tūfāñ nahīñ rahā
ai chārasāz sa.i-e-musalsal fuzūl hai
terā marīz qābil-e-darmāñ nahīñ rahā
us kī hayāt us ke liye maut ai 'azīz'
jis par ki us nigāh kā ehsāñ nahīñ rahā