jahāñ meñ ham jise bhī pyaar ke qābil samajhte haiñ
haqīqat meñ usī ko ziist kā hāsil samajhte haiñ
milā kartā hai dast-e-ġhaib se maḳhsūs bandoñ ko
kisī ke dard ko ham kā.enāt-e-dil samajhte haiñ
jinheñ shauq-e-talab ne quvvat-e-bāzū atā kī hai
talātum-ḳhez tuġhyānī ko vo sāhil samajhte haiñ
sitam aise kiye tamsīl jin kī mil nahīñ saktī
magar vo is jafā ko avvalīñ manzil samajhte haiñ
mohabbat lafz to saada sā hai lekin 'azīz' is ko
matā-e-dil samajhte the matā-e-dil samajhte haiñ