vo bār-e-farz-e-takalluf mujhī ko dhonā paḌā
use rulāne ki ḳhātir mujhe bhī ronā paḌā
vo ek husn thā jis kī thī sirf ḳhvāb meñ buud
use jagāne kī chāhat meñ mujh ko sonā paḌā
maiñ dekhtā huuñ ye chhīñTe lageñ ge kis ke haath
mujhe jo aaj udāsī se haath dhonā paḌā
ye kyā huā ki tirī dhun meñ jin se bichhḌe the
unhīñ ke sāmne tujh se bichhaḌ ke ronā paḌā
maiñ apnī marzī se is duniyā meñ huā kab thā
ma.ānī ye haiñ ki mujh ko jahāñ meñ honā paḌā