dikhāve ke liye elān-e-faiz-e-ām hotā hai
magar ik ḳhaas hī halqa meñ daur-e-jām hotā hai
mo.arriḳh yuuñ jagah detā nahīñ tārīḳh-e-ālam meñ
baḌī qurbāniyoñ ke ba.ad paidā naam hotā hai
usī ko sochnā paḌtī haiñ tadbīreñ rihā.ī kī
jo taa.ir jurm-e-āzādī meñ zer-e-dām hotā hai
habāb-e-bahr kī sūrat ubharne kī zarūrat kyā
numūd-e-be-mahal kā jab burā anjām hotā hai
koī sarshār ho jaa.e koī ik buuñd ko tarse
inhīñ bātoñ se saaqī mai-kada badnām hotā hai
kahīñ sabze ko rauñdā jā rahā hai lahlahāne par
kahīñ phūloñ kā rañg-o-bū pe qatl-e-ām hotā hai
zabāñ kyuuñ kholte ho jurm ye duniyā hai ulfat kī
ishāroñ hī ishāroñ meñ yahāñ sab kaam hotā hai